December is the last month of the year and it is special for him because he takes many things in this month including Judai, love, Muhabbat, Pyar, Shairy, poems, ghazals, poetry, and especially for lovers.
Halki Halki Si Sard Hawaa
Zara Zara Sa Dard e Dil…
Andaaz Achaa Hai
December Tere Aane Ka…
December Ke Mahine Mei…!
December Ke Mahine Mei
Saal e Nau Ki Aahat Per
Mera Dil Chonk Uttha Hai
Kia Koi Bichhraa Aan Mile Ga
Ya Phir!!!
Koi Hum Se Judaa Ho Jaae Ga…
Ye Saal Bhi Chala Gaya Har Saal Ki Tarhan
Mujh Se Bichhar Gaya Jo Gaye Saal Ki
Tarhan
Is Ka Bhi Haal Hoga Mere Haal Ki
Tarhan
Aaya Nhi Wo, Reh Gaye Raste Sajey
Sajaye
Ye Saal Bhi Chala Gaya Har Saal Ki
Tarhan
Ik BeDard December Thaa
Bus Ik Meri Baat Nhi Thi
Sub Ka Dard December Tha
Baraf Ke Shehr Me Rehne Wala
Ik Ik Fard December Tha
Pichhley Saal Ke Aakhir Me Bhi
Herat Me Hum Teeno They
Ik Mai Tha, Ik Tanhaai Thi
Ik Be dard December Tha
Mujhe Yaad hai abhi tak Jab barsti tap tap karti Rim jhim mein
Haan December ki is Thatrti Sard raat ki pehli Barish mein
Us ne mujh say kaha tha “Mujhe Barishein sard mosam ki bohat Pasand hain”
Sard Mosam ki Barishon mein say unseet rakhne wala Mere Lehjey mein sard-pan utar gea hai
Meri zaat mein Ajab tarz ki Ik Thandak utar gai hai
Mein jisko Choo loon Woh Baraf ka Mehboos ho jata hai
Usay sard mosam ki Barish say kea Nisbat thi Usay sard Mosmon ki Barish say kea Qurbat thi
YE SAAL BHI AAKHIR BEET GAYA
Koi Haar Gaya, Koi Jeet Gaya
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Kabhi Sapne Sajae Aankho Mei
Kabhi Beet Gae Pal Baato Mei
Kuch Talkh Se Lamhaat Bhi Thy
Kuch Haadse Or Sadmaat Bhi Thy