December is the last month of the year which is full of the winter season and everything in this cold season is frozen like flowers, rivers, birds, hills, animals, forests, mountains, and even in the whole world. Because like night darkness covers the whole world the same is the case with cold weather it dominates the entire world.
The flowers which are totally blossomed in the spring weather are wilted due to the chillness of the winter season. The seas’ waters are cold like ice because it creates a disturbance in the life of animals that are living water-like fishes of all sorts. The birds are not chirping in the winter season as they are in the spring weather. I have also the latest collection of Love Sms, Romantic Sms, Friendship Sms, and Birthday Sms on biseworld.com.
As D. H. Lawrance Says:
“In December winter season is the symbol of death like the spring season is the symbol of life”.
Spring is the name of the activity while winter is the end of the activity.
Teri Yaad, Tanhai, Khamoshi, Aur Behty Aansu…
Teri Yaad, Tanhai, Khamoshi, Aur Behty Aansu,
Pehli Subha December ki kya kya Tohfy Lai hai!
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
Raat Uss ne Poocha tha…
Raat Uss ne Poocha tha:
Tum ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December ki !
Main ne Kehna Chaha Tha:
Saal-o-Maah ke Baarey mein
Guftagu ke Kya Maani ?
Chahey koi Manzir ho
Dasht ho, Sumnadar ho
June ho, December ho
Dharkanoo’n ka Har Naghma
Manzaroo’n pe Bhaari hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil ko Ik Sahara ho
Aisa Lagta hai, jaise
Ik Nasha sa Taari hai
Lakin Uss ki Qurbat mein
Kuch Nahi Kaha Main ne
Takti Reh gayi Mujh ko ..
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
Tere Khwab or ye December….
Teri yadon ki rawani or ye December
Meri batein, teri kahani or ye December
Mera hath tere sath, lambi sarak or ye December
…
Gum sum shamein, sunehri ratein or ye December
Bheegy din, madham suraj, halky badal or ye December
Behti nadia, gaaty panchi, urti dhund or ye December
Cofee, bistar, teri Mohabat or ye December
Tanha main, tanha chand, mera kamra or ye December
Meri aankhein, meri neend, tere khwab or ye December
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
………December……….
Osey kehna December aa gia hi..
December ke guzarty hee..
Bars aik aur mazi ki chaao’n me doob jaye ga..
Osey kehna December Laot aye ga..
mgr jo khoon so jaye ga jismo’n me..
Na jagey ga..!
Osey kehna Hawaie’n sard hen, aur zindagi ke Kuhrey..
Dewaro’n me Larzaa’n hen…
Osey kehna shagofey Tehnio’n me so rahy hen…
Aur un pe barrf ki chaadr bichi hi..
Osey kehna agr suraj na nikley ga…
to kaisy barrf piglay ge..
Osey kehna Laot aye..
Osey kehna Laot aye..
Osey kehna December aa gia hi….!
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>
December k haseen din thay
Murree ki yakh fizaon mein
Humhare chaar haathon nain
Mujasma ek banaya tha
Kaha tha ek dooje ko
Nishani pyar ki apni
Bari he khoobsoorat hai
Mujhe ab yaad aata hai
Mujasma barf ka tha wo
Usse aakhir pighalna tha
Usse to mitt he jana tha
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
Ye Barish Ye Sard Hawa Ye Hijr Ka Aalm
Ye Barish Ye Sard Hawa Ye Hijr Ka Aalm
Ghuman Hota Hai Is Bar December Mar Hi Dale Ga
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>
December Ab K Aao To
December Ab K Aao To
Tum Us Shehar_E_Tamanna Ki Khabar Laanaa
Keh Jis Mein Jugnuon Ki Kehkashaan Jhilmilaati Hai
Jahan Titlee K Rangoon Say Fizaain Muskarati Hain
Wahan Charon Taraf Khushboo Wafa Ki Hai
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar Say Choo Gaya Pal Bhar
Mehak Utha___!!
December Ab K Aao To
Tum Us Shehar_E_Tamanna Ki Khabar Laanaa
Jahan Par Rait K Zarray Sitaray Hain
Gul_O_Bulbul, Mah_O_Anjum Wafa K Ista’aray Hain
Jahan Dil Woh Samandar Hai Jis K Kayi Kinaray Hain__!!
December Hum Say Na Poocho Hamaray Shehar Ki Baabat
Yahan Aankhon Mein Guzray Karwan Ki Gard Thehri Hai
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
Muhabbat Barf Jaisay Hai Yahan
Muhabbat Barf Jaisay Hai Yahan
Yahan Dil K Lahoo Mein
Apni Palkon Ko Dabo Kr Hum
Sunehray Khawb Buntay Hain
Phir Unhi Khawbon Mein Jeetay Hain
Unhi Khawbon Pay Martay Hain
Dareeda Rooh Ko Lafzon Say Seena Gou Nahee Mumkin
Magar Phir Bhi__!!
December Ab K Aaou To
Tum Us Shehar_E_Tamanna Ki Khabar Laanaa__!!
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
December beet hi jayega…
Kaha tha ye December mn
Hamen tum Milne aao ge…
December kitne guzre hain
Tumhari raahon ko taktay
Najanay kis December mn
Tumhen Milne ko aana he
Hamari to December ne
Bohot ummeeden tori hain
Baray sapne bakhere hain
Hamari raah takti muntazir
Purnaum nigahon mn
Sawan ke jo deray hain
December ke hi tohfay hain
December phir se aya he
Jo tum ab bhi na aaye to
Phir tum dekhna khud hi
Tumhari yaad mn ab ke
Akele hum na royen ge
Hamara saath dene ko
Sawan ke bharay baadal
Galay mil mil ke royen ge
Phir itna paani barse ga
Samandar seh na paaye ga
Karo na zid chale aao
Rakha he kia December mn
Dilon mn pyar ho to phir
Maheenay saaray achay hain
Kisi bhi pyaray mausam mn
Chupkay se chale aao
Sajan ab maan bhi jao
December to December he
December ka bharosa kia
December beet hi jayega….
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
People are waiting for the December who have married because the nights of December are full of joy for happy married life men and girls. December nights are long and days are short and people do a lot of work in a night to earn their livelihood and also enjoy the parties like a dance party, singing, and most marriages are held in December month than the whole month of the year. People enjoy colorful nights with beautiful women and their wives and enjoyed tasty dishes.